Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawan rut thi phir afsane bhi nikle

Rakhshanda Naved

jawan rut thi phir afsane bhi nikle

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    javāñ rut thī phir afsāne bhī nikle

    mire muñh par bahut daane bhī nikle

    sabhī aa.e mirī jānib sambhal kar

    magar kuchh tum se dīvāne bhī nikle

    adhūre sher se kuchh ḳhvāb apne

    hameñ nīñdoñ se bhaTkāne bhī nikle

    tumhāre saath raste baaġh jaise

    tumhāre ba.ad vīrāne bhī nikle

    vo jab ThanDā huā ġhurbat ke hāthoñ

    usī muTThī se chaar aane bhī nikle

    vo suulī par bhī apne aap laTke

    niko-kāroñ pe jurmāne bhī nikle

    jawan rut thi phir afsane bhi nikle

    mere munh par bahut dane bhi nikle

    sabhi aae meri jaanib sambhal kar

    magar kuchh tum se diwane bhi nikle

    adhure sher se kuchh KHwab apne

    hamein nindon se bhaTkane bhi nikle

    tumhaare sath raste bagh jaise

    tumhaare baad virane bhi nikle

    wo jab ThanDa hua ghurbat ke hathon

    usi muTThi se chaar aane bhi nikle

    wo suli par bhi apne aap laTke

    niko-karon pe jurmane bhi nikle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now