jawani mein nazar ko tabe-e-ahkaam hone do
javānī meñ nazar ko tābe-e-ahkām hone do
ye uTh jaa.e jidhar us samt qatl-e-ām hone do
adāoñ ko sharīk-e-gardish-e-ayyām hone do
javānī meñ kisī kī hashr kā hañgām hone do
nazar ke saath ho jā.egā qaa.em daur-e-mai-ḳhāna
zarā gardish meñ chashm-e-sāqī-e-gulfām hone do
nazar aa jā.egā duniyā ko barq-o-tūr kā aalam
dam-e-dīdār be-ḳhud mujh ko zer-e-bām hone do
na ham dil ko chhupā.eñ aur na tum phero nigāhoñ ko
ham apnā kaam hone deñ tum apnā kaam hone do
ḳhudā ma.alūm le jaa.e kahāñ zauq-e-talab mujh ko
abhī to be-ḳhudī-e-shauq kā anjām hone do
kamī hai marne vāloñ kī na qātil kī zamāne meñ
kisī kī har adā kahtī hai qatl-e-ām hone do
ḳhudā vaalo na roko mujh ko mere zauq-e-isyāñ se
mujhe roz-e-qayāmat morid-e-ilzām hone do
abhī kuchh gardisheñ baaqī haiñ jām-e-zīst kī 'afqar'
abhī kuchh der shaġhl-e-bāda-e-gulfām hone do
jawani mein nazar ko tabe-e-ahkaam hone do
ye uTh jae jidhar us samt qatl-e-am hone do
adaon ko sharik-e-gardish-e-ayyam hone do
jawani mein kisi ki hashr ka hangam hone do
nazar ke sath ho jaega qaem daur-e-mai-KHana
zara gardish mein chashm-e-saqi-e-gulfam hone do
nazar aa jaega duniya ko barq-o-tur ka aalam
dam-e-didar be-KHud mujh ko zer-e-baam hone do
na hum dil ko chhupaen aur na tum phero nigahon ko
hum apna kaam hone den tum apna kaam hone do
KHuda malum le jae kahan zauq-e-talab mujh ko
abhi to be-KHudi-e-shauq ka anjam hone do
kami hai marne walon ki na qatil ki zamane mein
kisi ki har ada kahti hai qatl-e-am hone do
KHuda walo na roko mujh ko mere zauq-e-isyan se
mujhe roz-e-qayamat morid-e-ilzam hone do
abhi kuchh gardishen baqi hain jam-e-zist ki 'afqar'
abhi kuchh der shaghl-e-baada-e-gulfam hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.