jazb hota ja raha hai dil mein dard-e-la-ilaj
jazb hotā jā rahā hai dil meñ dard-e-lā-ilāj
kyā isī marham se honā tai hai duniyā kā ilaaj
thī yahī ummīd bhī aur chāra-gar ne bhī kahā
aap kab ke mar chuke haiñ aap kā kaisā ilaaj
dil ko nā-manzūr thī tasvīr sī jhūTī davā
tai huā tark-e-ta.alluq hijr kā pahlā ilaaj
ḳhud-kushī kā faisla ye soch kar ham ne kiyā
kaun kartā zindagī kā maut se achchhā ilaaj
al-madad ai raqs-e-vahshat aaj mar jā.eñge ham
ai junūñ is be-sabab tanhā.ī ke tanhā ilaaj
jazb hota ja raha hai dil mein dard-e-la-ilaj
kya isi marham se hona tai hai duniya ka ilaj
thi yahi ummid bhi aur chaara-gar ne bhi kaha
aap kab ke mar chuke hain aap ka kaisa ilaj
dil ko na-manzur thi taswir si jhuTi dawa
tai hua tark-e-talluq hijr ka pahla ilaj
KHud-kushi ka faisla ye soch kar hum ne kiya
kaun karta zindagi ka maut se achchha ilaj
al-madad ai raqs-e-wahshat aaj mar jaenge hum
ai junun is be-sabab tanhai ke tanha ilaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.