jazba-e-ishq jab ubhar aaya
jazba-e-ishq jab ubhar aayā
duur tak tū mujhe nazar aayā
us ko itnā yaqīn hai mujh pe
jab bhī bahkā hai vo idhar aayā
dil ko dil se hai unsiyat aisī
us ko sochā to vo nazar aayā
ik qayāmat kā sāmnā thā jab
be-ḳhayālī meñ vo nazar aayā
bhīgī palkoñ se ḳhvāb buntā thā
ab haqīqat pe dil utar aayā
zindagī us ke ishq meñ guzrī
tab mohabbat meñ ye asar aayā
'saif' aksar huā hai aisā bhī
vo na aayā to dil bhī bhar aayā
jazba-e-ishq jab ubhar aaya
dur tak tu mujhe nazar aaya
us ko itna yaqin hai mujh pe
jab bhi bahka hai wo idhar aaya
dil ko dil se hai unsiyat aisi
us ko socha to wo nazar aaya
ek qayamat ka samna tha jab
be-KHayali mein wo nazar aaya
bhigi palkon se KHwab bunta tha
ab haqiqat pe dil utar aaya
zindagi us ke ishq mein guzri
tab mohabbat mein ye asar aaya
'saif' aksar hua hai aisa bhi
wo na aaya to dil bhi bhar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.