jazba-e-ishq ka izhaar na hone pae
jazba-e-ishq kā iz.hār na hone paa.e
husn rusvā sar-e-bāzār na hone paa.e
muddatoñ mahfil-e-sāqī meñ rahe haiñ lekin
jaam chhūne ke gunahgār na hone paa.e
bazm-e-ahbāb meñ aayā huuñ magar Dar ye hai
koī fitna pas-e-dīvār na hone paa.e
aao ta.amīr kareñ aisā mohabbat kā makān
vaqt ke hāthoñ jo mismār na hone paa.e
jin ke sīnoñ meñ mohabbat kī kiran thī 'anjum'
ḳhvāhishoñ meñ vo giraftār na hone paa.e
jazba-e-ishq ka izhaar na hone pae
husn ruswa sar-e-bazar na hone pae
muddaton mahfil-e-saqi mein rahe hain lekin
jam chhune ke gunahgar na hone pae
bazm-e-ahbab mein aaya hun magar Dar ye hai
koi fitna pas-e-diwar na hone pae
aao tamir karen aisa mohabbat ka makan
waqt ke hathon jo mismar na hone pae
jin ke sinon mein mohabbat ki kiran thi 'anjum'
KHwahishon mein wo giraftar na hone pae
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 51)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.