Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya

Shaad Aarfi

jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    jazba-e-mohabbat ko tīr-e-be-ḳhatā paayā

    maiñ ne jab use dekhā dekhtā huā paayā

    jānte ho kyā paayā pūchhte ho kyā paayā

    sub.h-dam darīche meñ ek ḳhat paḌā paayā

    der meñ pahuñchne par bahs to huī lekin

    us be-qarārī ko hasb-e-mudda.ā paayā

    sub.h tak mire ham-rāh aañkh bhī na jhapkā.ī

    maiñ ne har sitāre ko dard-āshnā paayā

    girya-e-judā.ī ko sahl jānñe vaalo

    dil se aañkh jānib ḳhuun dauḌtā paayā

    ehtimām-e-parda ne khol diiñ na.ī rāheñ

    vo jahāñ chhupā kar merā sāmnā paayā

    dil ko moh letī hai dil-kashi-e-nazzāra

    aañkh ḳhatāoñ meñ dil ko mubtalā paayā

    rañg laa.ī āḳhir tark-e-nāz-bardārī

    haath joḌ kar us ko mahv-e-iltijā paayā

    'shād' ġhair-mumkin hai shikva-e-butāñ mujh se

    maiñ ne jis se ulfat us ko bā-vafā paayā

    jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya

    main ne jab use dekha dekhta hua paya

    jaante ho kya paya puchhte ho kya paya

    subh-dam dariche mein ek KHat paDa paya

    der mein pahunchne par bahs to hui lekin

    us ki be-qarari ko hasb-e-muddaa paya

    subh tak mere ham-rah aankh bhi na jhapkai

    main ne har sitare ko dard-ashna paya

    girya-e-judai ko sahl jaanne walo

    dil se aankh ki jaanib KHun dauDta paya

    ehtimam-e-parda ne khol din nai rahen

    wo jahan chhupa ja kar mera samna paya

    dil ko moh leti hai dil-kashi-e-nazzara

    aankh ki KHataon mein dil ko mubtala paya

    rang lai na aaKHir tark-e-naz-bardari

    hath joD kar us ko mahw-e-iltija paya

    'shad' ghair-mumkin hai shikwa-e-butan mujh se

    main ne jis se ulfat ki us ko ba-wafa paya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now