jazba-e-shauq ka izhaar karun ya na karun
jazba-e-shauq kā iz.hār karūñ yā na karūñ
dil ko rusvā sar-e-bāzār karūñ yā na karūñ
dard ḳhud baḌh ke huā jaatā hai darmāñ dil kā
ab ilāj-e-dil-e-bīmār karūñ yā na karūñ
qais-o-mansūr kī taqlīd se dam ghuTtā hai
ehtimām-e-rasan-o-dār karūñ yā na karūñ
jis ko ḳhuddārī-e-jazbāt kā ehsās na ho
nazr us ko dil-e-ḳhuddār karūñ yā na karūñ
us kī rusvā.ī kā baa.is na hoñ merī ġhazleñ
nazr-e-ahbāb ye shahkār karūñ yā na karūñ
le na añgḌā.ī kahīñ gardish-e-ayyām 'umar'
husn-e-ḳhvābīda ko bedār karūñ yā na karūñ
jazba-e-shauq ka izhaar karun ya na karun
dil ko ruswa sar-e-bazar karun ya na karun
dard KHud baDh ke hua jata hai darman dil ka
ab ilaj-e-dil-e-bimar karun ya na karun
qais-o-mansur ki taqlid se dam ghuTta hai
ehtimam-e-rasan-o-dar karun ya na karun
jis ko KHuddari-e-jazbaat ka ehsas na ho
nazr us ko dil-e-KHuddar karun ya na karun
us ki ruswai ka bais na hon meri ghazlen
nazr-e-ahbab ye shahkar karun ya na karun
le na angDai kahin gardish-e-ayyam 'umar'
husn-e-KHwabida ko bedar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.