jazba ghairat ka KHamida nahin hone deta
jazba ġhairat kā ḳhamīda nahīñ hone detā
bojh itnā hai ki sīdhā nahīñ hone detā
shart itnī hai gunahgār pashemāñ ho jaa.e
vo ḳhatā-posh hai rusvā nahīñ hone detā
khol detā hai phir ummīd kī khiḌkī koī
mujh ko mahrūm-e-tamannā nahīñ hone detā
buzdilī kuchh bhī anokhā nahīñ karne detī
ḳhauf-e-nākāmī karishma nahīñ hone detā
saañp ne aisā jamāyā hai shajar par qabza
panchhiyoñ kā bhī baserā nahīñ hone detā
zehn-o-dil donoñ meñ rakhtā huuñ banā kar 'vāsiq'
ghar ke andar koī jhagḌā nahīñ hone detā
jazba ghairat ka KHamida nahin hone deta
bojh itna hai ki sidha nahin hone deta
shart itni hai gunahgar pasheman ho jae
wo KHata-posh hai ruswa nahin hone deta
khol deta hai phir ummid ki khiDki koi
mujh ko mahrum-e-tamanna nahin hone deta
buzdili kuchh bhi anokha nahin karne deti
KHauf-e-nakaami karishma nahin hone deta
sanp ne aisa jamaya hai shajar par qabza
panchhiyon ka bhi basera nahin hone deta
zehn-o-dil donon mein rakhta hun bana kar 'wasiq'
ghar ke andar koi jhagDa nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.