jazbaat ki rau mein bah gaya hun
jazbāt kī rau meñ bah gayā huuñ
kahnā jo na thā vo kah gayā huuñ
har lamha-e-sar-ḳhushī meñ aksar
do ashk bahā ke rah gayā huuñ
thā jin pe gumāñ tire sitam kā
kuchh aise karam bhī sah gayā huuñ
shāyad vo ise junūñ samajh leñ
ik baat pate kī kah gayā huuñ
ab kyā ġham-e-sāhil-o-talātum
ik mauj ke saath bah gayā huuñ
jazbaat ki rau mein bah gaya hun
kahna jo na tha wo kah gaya hun
har lamha-e-sar-KHushi mein aksar
do ashk baha ke rah gaya hun
tha jin pe guman tere sitam ka
kuchh aise karam bhi sah gaya hun
shayad wo ise junun samajh len
ek baat pate ki kah gaya hun
ab kya gham-e-sahil-o-talatum
ek mauj ke sath bah gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.