jazbe tamam dil ke hi andar bikhar gae
jazbe tamām dil ke hī andar bikhar ga.e
iz.hār karnā chāhā thā alfāz mar ga.e
in mushkiloñ ne kaam ye āsān kar diyā
kuchh log vaqt rahte hī dil se utar ga.e
tanhā.iyoñ ko merī bahut kaam mil gayā
āvāzeñ apnī chhoḌ ke jab dost ghar ga.e
har chiiz shahr-e-ishq meñ mahñgī thī is qadar
lauT aa.e ḳhālī haath hī jab jab udhar ga.e
jazbe tamam dil ke hi andar bikhar gae
izhaar karna chaha tha alfaz mar gae
in mushkilon ne kaam ye aasan kar diya
kuchh log waqt rahte hi dil se utar gae
tanhaiyon ko meri bahut kaam mil gaya
aawazen apni chhoD ke jab dost ghar gae
har chiz shahr-e-ishq mein mahngi thi is qadar
lauT aae KHali hath hi jab jab udhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.