jhaDu bartan kar ke chhat par baiTh gai
jhāḌū bartan kar ke chhat par baiTh ga.ī
āḳhir insāñ hai vo thak kar baiTh ga.ī
maiñ phir train ke aage jā kar leT gayā
jab vo paglī train meñ jā kar baiTh ga.ī
logoñ ne kitne mafhūm nikāle haiñ
ik laḌkī kyā mere barābar baiTh ga.ī
jaan se maiñ jā.ūñgā us kā kyā hogā
vo to jhūTī qasmeñ khā kar baiTh ga.ī
jhaDu bartan kar ke chhat par baiTh gai
aaKHir insan hai wo thak kar baiTh gai
main phir train ke aage ja kar leT gaya
jab wo pagli train mein ja kar baiTh gai
logon ne kitne mafhum nikale hain
ek laDki kya mere barabar baiTh gai
jaan se main jaunga us ka kya hoga
wo to jhuTi qasmen kha kar baiTh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.