jhank kar zat ke andar ye tamasha dekho
jhāñk kar zaat ke andar ye tamāshā dekho
shahr sahrā meñ kabhī shahr meñ sahrā dekho
bahte dariyā meñ nazar aa.e har ik buuñd alag
ye nahīñ mo.ajiza gar buuñd meñ dariyā dekho
sūfiyo ma.arifat-e-ahal-e-safā to ye hai
kabhī insān meñ insāñ kā sarāpā dekho
qurmuzī rang lahū se hai pasīna merā
aur arbāb-e-havas rang-e-tamannā dekho
umr bhar tum pe rahe ahl-e-tamāshā kā hujūm
umr bhar tum ye tamāshā khaḌe tanhā dekho
ḳhvāb-sāzoñ kī hai ījād-e-hasīñ ye ummīd
sadā is aa.ine meñ tum ruḳh-e-zebā dekho
gar vo nā-bīnā ho kuchh harj nahīñ hai 'shaukat'
rahnumā ho na magar aql kā andhā dekho
jhank kar zat ke andar ye tamasha dekho
shahr sahra mein kabhi shahr mein sahra dekho
bahte dariya mein nazar aae har ek bund alag
ye nahin moajiza gar bund mein dariya dekho
sufiyo marifat-e-ahal-e-safa to ye hai
kabhi insan mein insan ka sarapa dekho
qurmuzi rang lahu se hai pasina mera
aur arbab-e-hawas rang-e-tamanna dekho
umr bhar tum pe rahe ahl-e-tamasha ka hujum
umr bhar tum ye tamasha khaDe tanha dekho
KHwab-sazon ki hai ijad-e-hasin ye ummid
sada is aaine mein tum ruKH-e-zeba dekho
gar wo na-bina ho kuchh harj nahin hai 'shaukat'
rahnuma ho na magar aql ka andha dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.