Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhagaDna kahe ka mere bhai paDi rahegi

Komal Joya

jhagaDna kahe ka mere bhai paDi rahegi

Komal Joya

jhagaḌnā kaahe mere bhaa.ī paḌī rahegī

ye baap daadā sab kamā.ī paḌī rahegī

añdhere kamre meñ raqs kartī rahegī vahshat

aur ek kone meñ pārsā.ī paḌī rahegī

havā minnat karo ki ghar ke diye bujhe to

udaas ho kar diyā salā.ī paḌī rahegī

hamārī nazroñ se aur ojhal agar hue tum

zamāne bhar ye raushnā.ī paḌī rahegī

tumhāre jaane ke baa'd kaisī mahalle-dārī

yaqīn kar lo banī banā.ī paḌī rahegī

tumhāre hāthoñ lams kaafī hai lauT aao

maiñ Thiik ho jā.ūñgī davā.ī paḌī rahegī

buzurg ruḳhsat hue haiñ lekin barāmde meñ

purāne vaqtoñ chārpā.ī paḌī rahegī

jhagaDna kahe ka mere bhai paDi rahegi

ye bap dada ki sab kamai paDi rahegi

andhere kamre mein raqs karti rahegi wahshat

aur ek kone mein parsai paDi rahegi

hawa ki minnat karo ki ghar ke diye bujhe to

udas ho kar diya salai paDi rahegi

hamari nazron se aur ojhal agar hue tum

zamane bhar ki ye raushnai paDi rahegi

tumhaare jaane ke ba'd kaisi mahalle-dari

yaqin kar lo bani banai paDi rahegi

tumhaare hathon ka lams kafi hai lauT aao

main Thik ho jaungi dawai paDi rahegi

buzurg ruKHsat hue hain lekin baramde mein

purane waqton ki chaarpai paDi rahegi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now