jhalak zara si dikha kar kahin kho jati hai
jhalak zarā sī dikhā kar kahīñ kho jaatī hai
ġhunūdgī kā vo ik biij yuuñ bo jaatī hai
gumān se mire bāhar hai maañ kī qurbānī
ki bachchoñ ko khilā kar bhūkī ḳhud so jaatī hai
zarūrateñ kisī ko mat batā ba-juz rab ke
vaañ aabrū nahīñ jaatī madad ho jaatī hai
kabhī to ishq-e-ilāhī meñ aañkh nam ho ye
sunā hai ishq ho sachchā to ye ro jaatī hai
vaañ muusā barq-e-tajallī na kar sake bardāsht
yaañ aaqā ko mire me.arāj tak ho jaatī hai
jhalak zara si dikha kar kahin kho jati hai
ghunudgi ka wo ek bij yun bo jati hai
guman se mere bahar hai man ki qurbani
ki bachchon ko khila kar bhuki KHud so jati hai
zaruraten kisi ko mat bata ba-juz rab ke
wan aabru nahin jati madad ho jati hai
kabhi to ishq-e-ilahi mein aankh nam ho ye
suna hai ishq ho sachcha to ye ro jati hai
wan musa barq-e-tajalli na kar sake bardasht
yan aaqa ko mere mearaj tak ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.