jhalakta hai gham meri har ek KHushi se
jhalaktā hai ġham merī har ik ḳhushī se
shikāyat hai mujh ko tirī be-ruḳhī se
maiñ apne ta.iiñ mar chukā thā kabhī kā
magar jī rahā huuñ tumhārī ḳhushī se
ḳhushī meñ mazā hai na ab ġham meñ lazzat
ye kāñTā nikālo dil-e-zindagī se
vo aur hoñge jin ko hai chāhat kā armāñ
mujhe pyaar hai aap kī dushmanī se
kahāñ tak jiyūñ āsare par karam ke
maiñ baaz aaya bas aap kī dostī se
miTī har tarah jaan 'sāhir' kī lekin
tirā ġham na bahlā ġham-e-zindagī se
jhalakta hai gham meri har ek KHushi se
shikayat hai mujh ko teri be-ruKHi se
main apne tain mar chuka tha kabhi ka
magar ji raha hun tumhaari KHushi se
KHushi mein maza hai na ab gham mein lazzat
ye kanTa nikalo dil-e-zindagi se
wo aur honge jin ko hai chahat ka arman
mujhe pyar hai aap ki dushmani se
kahan tak jiyun aasare par karam ke
main baz aaya bas aap ki dosti se
miTi har tarah jaan 'sahir' ki lekin
tera gham na bahla gham-e-zindagi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.