Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhamak dikhate hi us dil-ruba ne luT liya

Nazeer Akbarabadi

jhamak dikhate hi us dil-ruba ne luT liya

Nazeer Akbarabadi

jhamak dikhāte us dil-rubā ne luuT liyā

hameñ to pahle us adā ne luuT liyā

nigah ke Thag lagāvaT ne fan se kar ġhāfil

hañsī ne Daal phāñsī duā ne luuT liyā

vafā jafā ne ye jañg-e-zar-garī ham se

vafā ne bātoñ lagāyā jafā ne luuT liyā

luTe ham us galī meñ to yuuñ pukāre log

ki ik faqīr ko ik bādshā ne luuT liyā

abhī kaheñ to kisī ko na e'tibār aave

ki ham ko raah meñ ik āshnā ne luuT liyā

hazāroñ qāfile jis shoḳh ne kiye ġhārat

'nazīr' ko bhī usī bevafā ne luuT liyā

jhamak dikhate hi us dil-ruba ne luT liya

hamein to pahle hi us ki ada ne luT liya

nigah ke Thag ki lagawaT ne fan se kar ghafil

hansi ne Dal di phansi dua ne luT liya

wafa jafa ne ye ki jang-e-zar-gari hum se

wafa ne baaton lagaya jafa ne luT liya

luTe hum us ki gali mein to yun pukare log

ki ek faqir ko ek baadsha ne luT liya

abhi kahen to kisi ko na e'tibar aawe

ki hum ko rah mein ek aashna ne luT liya

hazaron qafile jis shoKH ne kiye ghaarat

'nazir' ko bhi usi bewafa ne luT liya

Source :
  • Book : Intekhab-e-Nazeer Akbarabadi (Pg. 205)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now