jhapki na aankh aur muqaddar badal diye
jhapkī na aañkh aur muqaddar badal diye
māchis kī ik salā.ī ne manzar badal diye
be-chehragī ke karb ne fikroñ ke haath se
vo aa.ine banā.e ki paikar badal diye
rukne diyā na paañv ke chakkar ne ik jagah
bastī ke saath saath ka.ī ghar badal diye
jādūgaroñ ne shahr kī pahchān chhīn lī
jismoñ ke saath saath ka.ī sar badal diye
manzil kī dūriyoñ se safar ke jihād tak
mere amal ne raah ke patthar badal diye
jhapki na aankh aur muqaddar badal diye
machis ki ek salai ne manzar badal diye
be-chehragi ke karb ne fikron ke hath se
wo aaine banae ki paikar badal diye
rukne diya na panw ke chakkar ne ek jagah
basti ke sath sath kai ghar badal diye
jadugaron ne shahr ki pahchan chhin li
jismon ke sath sath kai sar badal diye
manzil ki duriyon se safar ke jihad tak
mere amal ne rah ke patthar badal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.