jhil ki tah mein paDe murda shikaron ki tarah
jhiil ki tah meñ paḌe murda shikāroñ kī tarah
Duub jā.eñge kabhī ham bhī hazāroñ kī tarah
us kī āñkhoñ meñ na.ī rut kā hai paiġhām magar
phertā bhī hai nazar jaatī bahāroñ kī tarah
chār-dīvāroñ kā dil ā.ina-ḳhāna hī sahī
ik samundar ko sañbhāle hai kināroñ kī tarah
Dal ke siine se ukhāḌe ga.e sab surḳh kañval
dekhte rah ga.e ham chaar chanāroñ kī tarah
us kī aahaT se mahak uTThī hai vaadī saarī
ham bhī ik aas meñ baiThe haiñ hazāroñ kī tarah
jhil ki tah mein paDe murda shikaron ki tarah
Dub jaenge kabhi hum bhi hazaron ki tarah
us ki aankhon mein nai rut ka hai paigham magar
pherta bhi hai nazar jati bahaaron ki tarah
chaar-diwaron ka dil aaina-KHana hi sahi
ek samundar ko sanbhaale hai kinaron ki tarah
Dal ke sine se ukhaDe gae sab surKH kanwal
dekhte rah gae hum chaar chanaron ki tarah
us ki aahaT se mahak uTThi hai wadi sari
hum bhi ek aas mein baiThe hain hazaron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.