jhonke aate hain bu-e-ulfat ke
jhoñke aate haiñ bū-e-ulfat ke
phuul yārab haiñ kis kī turbat ke
shor hai dil meñ ġham ke nāloñ kā
alam uThte haiñ aaj hasrat ke
terī bātoñ meñ kyā halāvat thī
ki na lab khul sake shikāyat ke
ham pe aur teġh-e-nāz uTh na sake
chochle haiñ tirī nazākat ke
ai 'bayāñ' qais-o-vāmiq-o-farhād
the ye saare murīd hazrat ke
jhonke aate hain bu-e-ulfat ke
phul yarab hain kis ki turbat ke
shor hai dil mein gham ke nalon ka
alam uThte hain aaj hasrat ke
teri baaton mein kya halawat thi
ki na lab khul sake shikayat ke
hum pe aur tegh-e-naz uTh na sake
chochle hain teri nazakat ke
ai 'bayan' qais-o-wamiq-o-farhad
the ye sare murid hazrat ke
- Book : Noquush (Pg. B-297 E313)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.