jhuk gai jab ye ana tere dar-e-saffak par
jhuk ga.ī jab ye anā tere dar-e-saffāk par
mujh se mat pūchho ki kyā guzrī dil-e-be-bāk par
is zamīñ se āsmāñ tak maiñ bikhartī hī ga.ī
ab na simTī to girūñgī ek din maiñ chaak par
maiñ rahī ik hijr meñ aur ek ab milne ko hai
jaan se maiñ yuuñ ga.ī to ḳhaak Daalo ḳhaak par
ab vahāñ phūTeñge phir se lāla-o-gul dekhnā
ho rahā hai ḳhuun kā chhiḌkāv arz-e-pāk par
ye tirī yādoñ ke jugnū yā ki aañsū haiñ mire
jo sitāre se chamakte haiñ mirī poshāk par
kyuuñ dayār-e-ġhair meñ murjhā ga.e chehroñ ke phuul
barf sī girtī rahī is dīda-e-nam-nāk par
jis tarah guzrī hai merī zindagānī kyā kahūñ
tū vahāñ baiThā hai phir kis ke liye aflāk par
jhuk gai jab ye ana tere dar-e-saffak par
mujh se mat puchho ki kya guzri dil-e-be-bak par
is zamin se aasman tak main bikharti hi gai
ab na simTi to girungi ek din main chaak par
main rahi ek hijr mein aur ek ab milne ko hai
jaan se main yun gai to KHak Dalo KHak par
ab wahan phuTenge phir se lala-o-gul dekhna
ho raha hai KHun ka chhiDkaw arz-e-pak par
ye teri yaadon ke jugnu ya ki aansu hain mere
jo sitare se chamakte hain meri poshak par
kyun dayar-e-ghair mein murjha gae chehron ke phul
barf si girti rahi is dida-e-nam-nak par
jis tarah guzri hai meri zindagani kya kahun
tu wahan baiTha hai phir kis ke liye aflak par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.