jhuT ki miqdar kam hai aur sachchai bahut
jhuuT kī miqdār kam hai aur sachchā.ī bahut
sāf-goī se huī hai merī rusvā.ī bahut
apnī kam-goī se qad-āvar to chhoTe ban ga.e
baḌh ga.ī laffāz baunoñ kī ab ūñchā.ī bahut
be-niyāzāna maiñ apnī justujū meñ gum rahā
yaad un kī mere dil meñ aa ke sharmā.ī bahut
tīra-baḳhtī ne asīrī meñ nibhāyā merā saath
rauzan-e-zindāñ se yuuñ to raushnī aa.ī bahut
khokhle alfāz marham ban na paa.e ai 'razā'
jhūTe sachche āñsuoñ ne kī masīhā.ī bahut
jhuT ki miqdar kam hai aur sachchai bahut
saf-goi se hui hai meri ruswai bahut
apni kam-goi se qad-awar to chhoTe ban gae
baDh gai laffaz baunon ki ab unchai bahut
be-niyazana main apni justuju mein gum raha
yaad un ki mere dil mein aa ke sharmai bahut
tira-baKHti ne asiri mein nibhaya mera sath
rauzan-e-zindan se yun to raushni aai bahut
khokhle alfaz marham ban na pae ai 'raza'
jhuTe sachche aansuon ne ki masihai bahut
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 448)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.