jhuT ki poshak par paiwand-kari kab talak
jhuT ki poshak par paiwand-kari kab talak
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
jhuuT kī poshāk par paivand-kārī kab talak
ham se āḳhir ye batāo hoshiyārī kab talak
sāhab-e-kashkol kuchh izzat kī rozī kar talāsh
yuuñ ikaTThā tū karegā rezgārī kab talak
raaz maiñ ne tum ko apnā de diyā kuchh soch kar
dekhnā hai rakh sakoge rāzdārī kab talak
ijz kī tākīd karte ho bahut taqrīr meñ
ye batāo zālimoñ se inkisārī kab talak
ja.al-sāzī kī kaTorī aur daane lobh ke
kah rahe haiñ kuchh parinde ai shikārī kab talak
ai havas ḳhoroñ mirī ma.asūm āñkhoñ ke liye
ḳhvāb lāoge sunahre baarī baarī kab talak
ab to vājib jaan le ta.alīm ko ai merī qaum
soch yuuñ bahkā.enge ja.alī pujārī kab talak
ham ko ye ġham hī na le Duube kahīñ ḳhallāq-e-ḳhalq
be-zamīroñ par rahegī tāj-dārī kab talak
vo bhī ik insān hai batlāo ai tāhir 'sa.ūd'
ḳhvāh-maḳhvāh suntā rahe āḳhir tumhārī kab talak
jhuT ki poshak par paiwand-kari kab talak
hum se aaKHir ye batao hoshiyari kab talak
sahab-e-kashkol kuchh izzat ki rozi kar talash
yun ikaTTha tu karega rezgari kab talak
raaz main ne tum ko apna de diya kuchh soch kar
dekhna hai rakh sakoge raazdari kab talak
ijz ki takid karte ho bahut taqrir mein
ye batao zalimon se inkisari kab talak
jal-sazi ki kaTori aur dane lobh ke
kah rahe hain kuchh parinde ai shikari kab talak
ai hawas KHoron meri masum aankhon ke liye
KHwab laoge sunahre bari bari kab talak
ab to wajib jaan le talim ko ai meri qaum
soch yun bahkaenge jali pujari kab talak
hum ko ye gham hi na le Dube kahin KHallaq-e-KHalq
be-zamiron par rahegi taj-dari kab talak
wo bhi ek insan hai batlao ai tahir 'saud'
KHwah-maKHwah sunta rahe aaKHir tumhaari kab talak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.