Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuTe iqrar se inkar achchha

Mahshar Badayuni

jhuTe iqrar se inkar achchha

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    jhūTe iqrār se inkār achchhā

    tum se to maiñ gunahgār achchhā

    habs chhaT jaa.e diyā jaltā rahe

    ghar bas itnā havā-dār achchhā

    ijz ḳhvārī hai na zāhir-dārī

    ijz ko chāhiye me.ayār achchhā

    ye imārat hai isī vāste ḳhuub

    is imārat thā me.amār achchhā

    ab bhī ik ḳhidmat-e-shah ḳhaslat meñ

    shaam ko jamtā hai darbār achchhā

    chhoḌo ye tajrabe ai chāragaro

    jiine do mujh ko maiñ bīmār achchhā

    sukh se to fan kabhī panpā nahīñ

    jo dukhī hai vahī fankār achchhā

    jhuTe iqrar se inkar achchha

    tum se to main hi gunahgar achchha

    habs chhaT jae diya jalta rahe

    ghar bas itna hi hawa-dar achchha

    ijz KHwari hai na zahir-dari

    ijz ko chahiye meayar achchha

    ye imarat hai isi waste KHub

    is imarat ka tha meamar achchha

    ab bhi ek KHidmat-e-shah KHaslat mein

    sham ko jamta hai darbar achchha

    chhoDo ye tajrabe ai chaaragaro

    jine do mujh ko main bimar achchha

    sukh se to fan kabhi panpa hi nahin

    jo dukhi hai wahi fankar achchha

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 589)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now