jhuTh ka bolna aasan nahin hota hai
jhūTh kā bolnā āsān nahīñ hotā hai
dil tire ba.ad pareshān nahīñ hotā hai
sab tire ba.ad yahī pūchhte rahte haiñ mujhe
ab kisī baat pe hairān nahīñ hotā hai
kaise tum bhuul ga.e ho mujhe āsānī se
ishq meñ kuchh bhī to āsān nahīñ hotā hai
hijr kā zā.iqa liije zarā dhīre dhīre
sab kī thālī meñ ye pakvān nahīñ hotā hai
koī kirdār maza detā nahīñ hai us kā
jis kahānī kā tū unvān nahīñ hotā hai
hone ko kyā nahīñ hotā hai jahāñ meñ lekin
tum se milne kā hī imkān nahīñ hotā hai
jhuTh ka bolna aasan nahin hota hai
dil tere baad pareshan nahin hota hai
sab tere baad yahi puchhte rahte hain mujhe
ab kisi baat pe hairan nahin hota hai
kaise tum bhul gae ho mujhe aasani se
ishq mein kuchh bhi to aasan nahin hota hai
hijr ka zaiqa lije zara dhire dhire
sab ki thaali mein ye pakwan nahin hota hai
koi kirdar maza deta nahin hai us ka
jis kahani ka tu unwan nahin hota hai
hone ko kya nahin hota hai jahan mein lekin
tum se milne ka hi imkan nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.