jiddateñ dekhiye sahrā meñ bhī dīvānoñ kī
roz ik vaz.a badalte haiñ garebānoñ kī
be-ruḳhī dekhiye khiñchte hue paikānoñ kī
bastiyāñ luuTe liye jaate haiñ armānoñ kī
aaj ham ro.e bahut dekh ke tasvīr-e-bahār
yaad taaza huī bhūle hue afsānoñ kī
kījiye sāl-girah fasl-e-bahār aa pahuñchī
beḌiyāñ phir se badalvā.iye dīvānoñ kī
man.a karte the gire aañkh se kyoñ ashk-e-'rashīd'
aabrū khoī chhalakte hue paimānoñ kī
jiddaten dekhiye sahra mein bhi diwanon ki
roz ek waza badalte hain garebanon ki
be-ruKHi dekhiye khinchte hue paikanon ki
bastiyan luTe liye jate hain armanon ki
aaj hum roe bahut dekh ke taswir-e-bahaar
yaad taza hui bhule hue afsanon ki
kijiye sal-girah fasl-e-bahaar aa pahunchi
beDiyan phir se badalwaiye diwanon ki
mana karte the gire aankh se kyon ashk-e-'rashid'
aabru khoi chhalakte hue paimanon ki
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 122)
- Author : فرحت احساس
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.