jidhar bhi dekhiye ek phika phika manzar hai
jidhar bhī dekhiye ik phīkā phīkā manzar hai
nazar nazar ke liye bebasī kā manzar hai
na titliyāñ haiñ na bhauñre na kuuk koyal kī
bahār rut meñ bhī be-manzarī kā manzar hai
sazā ke ba.ad bhī phirtā hai sar uThā.e hue
udhar na dekho vo ab bhī nafī kā manzar hai
kiran bhī phuuT paḌī shāḳheñ bhī huiiñ ḳhālī
magar saḌak pe abhī raat hī kā manzar hai
vo ek shaḳhs jo bantā hai pārsā paikar
us ek shaḳhs ke ghar meñ galī kā manzar hai
jidhar bhi dekhiye ek phika phika manzar hai
nazar nazar ke liye bebasi ka manzar hai
na titliyan hain na bhaunre na kuk koyal ki
bahaar rut mein bhi be-manzari ka manzar hai
saza ke baad bhi phirta hai sar uThae hue
udhar na dekho wo ab bhi nafi ka manzar hai
kiran bhi phuT paDi shaKHen bhi huin KHali
magar saDak pe abhi raat hi ka manzar hai
wo ek shaKHs jo banta hai parsa paikar
us ek shaKHs ke ghar mein gali ka manzar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.