jidhar dekh tumhaari bazm mein aghyar baiThe hain
jidhar dekh tumhaari bazm mein aghyar baiThe hain
Naseem Bharat Puri
MORE BYNaseem Bharat Puri
jidhar dekh tumhārī bazm meñ aġhyār baiThe haiñ
idhar das pāñch baiThe haiñ udhar do chaar baiThe haiñ
inhīñ dumbāla-dār āñkhoñ ne mujh ko maar rakkhā hai
inhīñ chhuriyoñ ke mere dil pe gahre vaar baiThe haiñ
unhīñ kī maut hai jin ko tumhāre vasl kī dahan hai
vahī sukh niiñd sote haiñ jo himmat haar baiThe haiñ
tumheñ kyā ho gayā hai baam par tum kyuuñ nahīñ aate
'nasīm'-e-muztarib kab se tah-dīvār baiThe haiñ
jidhar dekh tumhaari bazm mein aghyar baiThe hain
idhar das panch baiThe hain udhar do chaar baiThe hain
inhin dumbaala-dar aankhon ne mujh ko mar rakkha hai
inhin chhuriyon ke mere dil pe gahre war baiThe hain
unhin ki maut hai jin ko tumhaare wasl ki dahan hai
wahi sukh nind sote hain jo himmat haar baiThe hain
tumhein kya ho gaya hai baam par tum kyun nahin aate
'nasim'-e-muztarib kab se tah-diwar baiThe hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 153)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.