jidhar tujhko jate sanam dekhte hain
jidhar tujhko jate sanam dekhte hain
Rifat Zamani Begum Ismat
MORE BYRifat Zamani Begum Ismat
jidhar tujh ko jaate sanam dekhte haiñ
udhar pahroñ hasrat se ham dekhte haiñ
na.ī qabr kis kī banī hai ki jis par
tumhāre se naqsh-e-qadam dekhte haiñ
laboñ ko dabā.e hañsī ko churā.e
yūñhī marne vāloñ ko ham dekhte haiñ
ḳhudā jaane kyuuñ haath siine pe rakkhā
vo dil dekhte haiñ ki dam dekhte haiñ
muqaddar unhīñ kā muqaddar hai 'ismat'
jo īfā-e-qaul-o-qasam dekhte haiñ
jidhar tujh ko jate sanam dekhte hain
udhar pahron hasrat se hum dekhte hain
nai qabr kis ki bani hai ki jis par
tumhaare se naqsh-e-qadam dekhte hain
labon ko dabae hansi ko churae
yunhi marne walon ko hum dekhte hain
KHuda jaane kyun hath sine pe rakkha
wo dil dekhte hain ki dam dekhte hain
muqaddar unhin ka muqaddar hai 'ismat'
jo ifa-e-qaul-o-qasam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.