jigar ke KHun se tazin-e-baal-o-par kar di
jigar ke ḳhuun se taz.īn-e-bāl-o-par kar dī
chaman-asīr ne yuuñ zindagī basar kar dī
hikāyat-e-ġham-e-dil yuuñ bhī muḳhtasar hī thī
tumhāre kahne se lo aur muḳhtasar kar dī
mirī vafā kī kahānī se kaun vāqif thā
tumhāre jaur ne tash.hīr dar-ba-dar kar dī
qadam baḌhāo ki manzil qarīb hai shāyad
tabhī to raah harīfoñ ne tañg tar kar dī
ye kis jahān-e-tamannā kā phir ḳhayāl aayā
ki jis ḳhayāl ne har shai azīz-tar kar dī
shabān-e-zulf kī bāteñ tulūa-e-ruḳh kī ḳhair
tamām umr ibādat meñ muḳhtasar kar dī
na.e haiñ jām-o-subū bāda-o-ḳhumār nayā
aur ham ne kohna-sharābī meñ shab sahar kar dī
bahut hī ḳhuub thī rūdād-e-mausam-e-hastī
tirī nigāh ke saa.e ne ḳhūb-tar kar dī
na manziloñ kī ḳhabar hai na rāstoñ kā patā
matā-e-qalb-o-nazar nazr-e-rāh par kar dī
na.e shu.ūr na.e falsafe na.ī aqdār
ayyār-e-ishq ne har kā.enāt sar kar dī
jigar ke KHun se tazin-e-baal-o-par kar di
chaman-asir ne yun zindagi basar kar di
hikayat-e-gham-e-dil yun bhi muKHtasar hi thi
tumhaare kahne se lo aur muKHtasar kar di
meri wafa ki kahani se kaun waqif tha
tumhaare jaur ne tashhir dar-ba-dar kar di
qadam baDhao ki manzil qarib hai shayad
tabhi to rah harifon ne tang tar kar di
ye kis jahan-e-tamanna ka phir KHayal aaya
ki jis KHayal ne har shai aziz-tar kar di
shaban-e-zulf ki baaten tulua-e-ruKH ki KHair
tamam umr ibaadat mein muKHtasar kar di
nae hain jam-o-subu baada-o-KHumar naya
aur hum ne kohna-sharabi mein shab sahar kar di
bahut hi KHub thi rudad-e-mausam-e-hasti
teri nigah ke sae ne KHub-tar kar di
na manzilon ki KHabar hai na raston ka pata
mata-e-qalb-o-nazar nazr-e-rah par kar di
nae shuur nae falsafe nai aqdar
ayyar-e-ishq ne har kaenat sar kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.