ji bahut chahta hai rone ko
jī bahut chāhtā hai rone ko
aa.ina āñsuoñ se dhone ko
din kā jaltā safar tamām huā
raat ab kah rahī hai sone ko
ḳhvāb bunñe kā fā.eda kyā hai
vo to honā hai jo hai hone ko
yaad us kī matā-e-jāñ apnī
dīda-e-tar mujhe Dubone ko
pusht par bojh biitī yādoñ kā
zindagī jaise laash Dhone ko
umr ik jā chukī to ye jaanā
ḳhud ko paayā thā maiñ ne khone ko
ji bahut chahta hai rone ko
aaina aansuon se dhone ko
din ka jalta safar tamam hua
raat ab kah rahi hai sone ko
KHwab bunne ka faeda kya hai
wo to hona hai jo hai hone ko
yaad us ki mata-e-jaan apni
dida-e-tar mujhe Dubone ko
pusht par bojh biti yaadon ka
zindagi jaise lash Dhone ko
umr ek ja chuki to ye jaana
KHud ko paya tha main ne khone ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.