ji bhara aata hai Khaali mai ka pyala de gaya
ji bhara aata hai Khaali mai ka pyala de gaya
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
jī bharā aatā hai ḳhālī mai kā pyāla de gayā
dekhiyo kyā aaj ham ko shoḳh-bālā de gayā
us but-e-paimāñ-gusil ko jab ki maiñ laatā huuñ ghar
kuī nikoī de ke baalā mujh ko taalā de gayā
chāk-e-sīna ko jigar ko dāġh-e-dil ko dard-e-zaḳhm
tājir-e-ġham shahr-e-ulfat ke ye kaalā de gayā
kal ke din dikhlā ke apnā jalva-e-san.at-garī
yaad apnī shab ko vo bārī-ta.ālā de gayā
naam apnā japne ko har har tarah se har jagah
sub.ha to masjid meñ but-ḳhāne meñ maalā de gayā
ji bhara aata hai KHali mai ka pyala de gaya
dekhiyo kya aaj hum ko shoKH-baala de gaya
us but-e-paiman-gusil ko jab ki main lata hun ghar
kui nikoi de ke baala mujh ko tala de gaya
chaak-e-sina ko jigar ko dagh-e-dil ko dard-e-zaKHm
tajir-e-gham shahr-e-ulfat ke ye kala de gaya
kal ke din dikhla ke apna jalwa-e-sanat-gari
yaad apni shab ko wo bari-taala de gaya
nam apna japne ko har har tarah se har jagah
subha to masjid mein but-KHane mein mala de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.