ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo
jī chāhe ka.abe jaao jī chāhe but ko puujo
ye sun rakho 'muhib' tum āshiq kabhū na huujo
ḳhuuñ sau diloñ kā hogā mashshāta terī gardan
zulfoñ kā us kī TuuTā shāne se ek mū jo
jis jā farishte ke par jalte hoñ paañv dharte
dil us galī meñ sar se shāyāñ hai jaa.e tū jo
ik-dam meñ dekh liijo phir jeb pāra-pāra
be-fā.eda hai nāseh kartā hai tū rafū jo
kis rashk-e-mehr-o-mah ke shā.eq haiñ dekhne ke
haiñ mehr-o-māh phirte din-rāt kū-ba-kū jo
pā kar tujhe halāvat kyā kyā uThāte haiñ vo
kuchh dil hī dil meñ terī karte haiñ justujū jo
kyā kyā na dāġh-e-hasrat sab dil hī dil meñ khāveñ
majlis meñ gul-ruḳhoñ kī aave vo sham.a-rū jo
taktā muqābil us ke kis rū se maah hove
garm-e-suḳhan ho zarra vo mehr-e-sho.ala-ḳhū jo
thī mauj āhū-e-chīñ aur sab habāb naafe
dariyā par us ne khole gesū-e-mushkbū jo
sail-e-sarishk mere pahuñche hai ġham meñ tere
gulzār meñ ravāñ hai ai gul ye āb-jū jo
gulshan meñ gar vo mai-kash aave sharāb piine
gul kā bhare piyāla ġhunche kī hai subū jo
kaale ke kāTne kī chaḌhtī hai lahr dil par
zulf-e-siyāh us kī yaad aa.e hai kabhū jo
ma.anī-shanās hī kuchh rutbe ko us ke samjhe
ik tarz kā hai apnā andāz-e-guftugū jo
āshiq na ham to hote par ai 'muhib' baġhal meñ
dil hai vo dushman-e-jāñ piitā rahe lahū jo
ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo
ye sun rakho 'muhib' tum aashiq kabhu na hujo
KHun sau dilon ka hoga mashshata teri gardan
zulfon ka us ki TuTa shane se ek mu jo
jis ja farishte ke par jalte hon panw dharte
dil us gali mein sar se shayan hai jae tu jo
ik-dam mein dekh lijo phir jeb para-para
be-faeda hai naseh karta hai tu rafu jo
kis rashk-e-mehr-o-mah ke shaeq hain dekhne ke
hain mehr-o-mah phirte din-raat ku-ba-ku jo
pa kar tujhe halawat kya kya uThate hain wo
kuchh dil hi dil mein teri karte hain justuju jo
kya kya na dagh-e-hasrat sab dil hi dil mein khawen
majlis mein gul-ruKHon ki aawe wo shama-ru jo
takta muqabil us ke kis ru se mah howe
garm-e-suKHan ho zarra wo mehr-e-shoala-KHu jo
thi mauj aahu-e-chin aur sab habab nafe
dariya par us ne khole gesu-e-mushkbu jo
sail-e-sarishk mere pahunche hai gham mein tere
gulzar mein rawan hai ai gul ye aab-ju jo
gulshan mein gar wo mai-kash aawe sharab pine
gul ka bhare piyala ghunche ki hai subu jo
kale ke kaTne ki chaDhti hai lahr dil par
zulf-e-siyah us ki yaad aae hai kabhu jo
mani-shanas hi kuchh rutbe ko us ke samjhe
ek tarz ka hai apna andaz-e-guftugu jo
aashiq na hum to hote par ai 'muhib' baghal mein
dil hai wo dushman-e-jaan pita rahe lahu jo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.