ji dard se hai niDhaal apna
jī dard se hai niDhāl apnā
kis kis ko sunā.eñ haal apnā
bole vo kuchh aisī be-ruḳhī se
dil hī meñ rahā savāl apnā
shāyad tirī sādgī ne ab tak
dekhā hī nahīñ jamāl apnā
jis din se bhulā diyā hai tū ne
aatā hī nahīñ ḳhayāl apnā
hai 'saif' muhīt-e-har-do-ālam
ik silsila-e-ḳhayāl apnā
ji dard se hai niDhaal apna
kis kis ko sunaen haal apna
bole wo kuchh aisi be-ruKHi se
dil hi mein raha sawal apna
shayad teri sadgi ne ab tak
dekha hi nahin jamal apna
jis din se bhula diya hai tu ne
aata hi nahin KHayal apna
hai 'saif' muhit-e-har-do-alam
ek silsila-e-KHayal apna
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 46)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.