Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur

Fani Badayuni

ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    DhūñDhtā hai ghar koī donoñ jahāñ se duur

    is aap zamīñ se alag āsmāñ se duur

    shāyad maiñ dar-ḳhur nigah-e-garm bhī nahīñ

    bijlī taḌap rahī hai mire āshiyāñ se duur

    āñkheñ churā ke aap ne afsāna kar diyā

    jo haal thā zabāñ se qarīb aur bayāñ se duur

    tā-arz-e-shauq meñ na rahe bandagī laag

    ik sajda chāhtā huuñ tire āstāñ se duur

    hai man.a rāh-e-ishq meñ dair-o-haram hosh

    ya.anī kahāñ se paas hai manzil kahāñ se duur

    ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur

    is aap ki zamin se alag aasman se dur

    shayad main dar-KHur nigah-e-garm bhi nahin

    bijli taDap rahi hai mere aashiyan se dur

    aankhen chura ke aap ne afsana kar diya

    jo haal tha zaban se qarib aur bayan se dur

    ta-arz-e-shauq mein na rahe bandagi ki lag

    ek sajda chahta hun tere aastan se dur

    hai mana rah-e-ishq mein dair-o-haram ka hosh

    yani kahan se pas hai manzil kahan se dur

    Source :
    • Book : Junoon (Pg. 73)
    • Author : Naseem Muqri
    • Publication : Naseem Muqri (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now