ji hai bahut udas tabiat hazin bahut
jī hai bahut udaas tabī.at hazīñ bahut
saaqī ko pyāla-e-mai-e-ātishīñ bahut
do gaz zamīñ fareb-e-vatan ke liye milī
vaise to āsmāñ bhī bahut haiñ zamīñ bahut
aisī bhī is havā meñ hai ik kāfirī kī rau
bujh bujh ga.e haiñ shola-e-īmān-o-dīñ bahut
be-bākiyoñ meñ fard bahut thī vo chashm-e-nāz
dil kī harīf ho ke uThī sharm-gīñ bahut
paikār-e-ḳhair-o-shar se guzar aa.ī zindagī
terī vafā kā daur thā ahd-āfrīñ bahut
fariyād thī chakīda-e-ḳhūn-e-gulū tamām
naġhma bhī ham-safīr thā kār-e-hazīñ bahut
ai dil tujhī pe ḳhatm nahīñ dāstān-e-ishq
afsāna-ḳhvāñ mile mizha o āstīñ bahut
aisī havā meñ ghar se nikalne kī jā na thī
varna tamām baat kā aatā yaqīñ bahut
ai inqalāb-e-rañg tabī.at sambhālnā
ham bhī uThe haiñ bazm se ab ke hazīñ bahut
ji hai bahut udas tabiat hazin bahut
saqi ko pyala-e-mai-e-atishin bahut
do gaz zamin fareb-e-watan ke liye mili
waise to aasman bhi bahut hain zamin bahut
aisi bhi is hawa mein hai ek kafiri ki rau
bujh bujh gae hain shola-e-iman-o-din bahut
be-bakiyon mein fard bahut thi wo chashm-e-naz
dil ki harif ho ke uThi sharm-gin bahut
paikar-e-KHair-o-shar se guzar aai zindagi
teri wafa ka daur tha ahd-afrin bahut
fariyaad thi chakida-e-KHun-e-gulu tamam
naghma bhi ham-safir tha kar-e-hazin bahut
ai dil tujhi pe KHatm nahin dastan-e-ishq
afsana-KHwan mile mizha o aastin bahut
aisi hawa mein ghar se nikalne ki ja na thi
warna tamam baat ka aata yaqin bahut
ai inqalab-e-rang tabiat sambhaalna
hum bhi uThe hain bazm se ab ke hazin bahut
- Book : Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 278)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.