ji ke dekha hai mar ke dekhenge
jī ke dekhā hai mar ke dekheñge
ye tamāsha bhī kar ke dekheñge
raas aatā nahīñ simaTnā jab
sochte haiñ bikhar ke dekheñge
apne jalve vo āzmā.eñge
hausle ham nazar ke dekheñge
ham-safar rāstoñ meñ kyā ruknā
manziloñ se guzar ke dekheñge
nā-ḳhudā.ī ki aaj gahrā.ī
kashtiyoñ se utar ke dekheñge
ji ke dekha hai mar ke dekhenge
ye tamasha bhi kar ke dekhenge
ras aata nahin simaTna jab
sochte hain bikhar ke dekhenge
apne jalwe wo aazmaenge
hausle hum nazar ke dekhenge
ham-safar raston mein kya rukna
manzilon se guzar ke dekhenge
na-KHudai ki aaj gahrai
kashtiyon se utar ke dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.