jina agar jahan mein hai aisa kare koi
jiinā agar jahāñ meñ hai aisā kare koī
ġham din meñ khaa.e raat ko royā kare koī
bastī meñ jānte haiñ sabhī ham ko ham haiñ kyā
bastī meñ aaj kyoñ hameñ rusvā kare koī
fursat hai kis ko shahr meñ jo sochtā rahe
koī kare burā.ī ki achchhā kare koī
be-vaqt kī salīb pe laTke hue haiñ aaj
kis muñh se dost terī tamannā kare koī
is raah meñ shajar kī koī chhāñv bhī nahīñ
kab tak safar kī dhuup meñ bhaTkā kare koī
'shāġhil' 'adīb' apnī ravish hī chaleñge ham
badleñge ham zarā nahīñ badlā kare koī
jina agar jahan mein hai aisa kare koi
gham din mein khae raat ko roya kare koi
basti mein jaante hain sabhi hum ko hum hain kya
basti mein aaj kyon hamein ruswa kare koi
fursat hai kis ko shahr mein jo sochta rahe
koi kare burai ki achchha kare koi
be-waqt ki salib pe laTke hue hain aaj
kis munh se dost teri tamanna kare koi
is rah mein shajar ki koi chhanw bhi nahin
kab tak safar ki dhup mein bhaTka kare koi
'shaghil' 'adib' apni rawish hi chalenge hum
badlenge hum zara nahin badla kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.