jina azab kyun hai ye kya ho gaya mujhe
jiinā azaab kyuuñ hai ye kyā ho gayā mujhe
kis shaḳhs kī lagī hai bhalā bad-duā mujhe
maiñ apne aap se to laḌā huuñ tamām umr
ai āsmān tū bhī kabhī aazmā mujhe
nikle the donoñ bhes badal ke to kyā ajab
maiñ DhūñDtā ḳhudā ko phirā aur ḳhudā mujhe
pūchheñge mujh ko gaañv ke sab log ek din
maiñ ik purānā peḌ huuñ tū mat girā mujhe
us ghar ke kone kone meñ yādoñ ke bhuut haiñ
almāriyāñ na khol bahut mat Darā mujhe
jina azab kyun hai ye kya ho gaya mujhe
kis shaKHs ki lagi hai bhala bad-dua mujhe
main apne aap se to laDa hun tamam umr
ai aasman tu bhi kabhi aazma mujhe
nikle the donon bhes badal ke to kya ajab
main DhunDta KHuda ko phira aur KHuda mujhe
puchhenge mujh ko ganw ke sab log ek din
main ek purana peD hun tu mat gira mujhe
us ghar ke kone kone mein yaadon ke bhut hain
almariyan na khol bahut mat Dara mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.