jina hai KHub auron ki KHatir jiya karo
jiinā hai ḳhuub auroñ kī ḳhātir jiyā karo
ik-ādh saañs ḳhud bhī to lete rahā karo
kyā harj hai jo dil kī bhī sun lo kabhī kabhī
yuuñ apne aap se na hamesha laḌā karo
ye bār-e-zīst jhelte rahnā hai umr-bhar
apnī thakan pe Tik ke kabhī so liyā karo
hai bas-ki ḳhaak uḌāne kī āvārgī ko kho
raḳht-e-safar meñ ghar ko bhī bāñdhe phirā karo
af.ī bhī so rahe haiñ chamelī kī chhāñv meñ
nau-vārid-e-chaman ho sambhal kar chalā karo
kitnā kahā thā tum se ki mat khelo aag se
ab jo sulag paḌī hai to chupke jalā karo
jina hai KHub auron ki KHatir jiya karo
ik-adh sans KHud bhi to lete raha karo
kya harj hai jo dil ki bhi sun lo kabhi kabhi
yun apne aap se na hamesha laDa karo
ye bar-e-zist jhelte rahna hai umr-bhar
apni thakan pe Tik ke kabhi so liya karo
hai bas-ki KHak uDane ki aawargi ko kho
raKHt-e-safar mein ghar ko bhi bandhe phira karo
afi bhi so rahe hain chameli ki chhanw mein
nau-warid-e-chaman ho sambhal kar chala karo
kitna kaha tha tum se ki mat khelo aag se
ab jo sulag paDi hai to chupke jala karo
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 885)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.