jiinā kab tak muhāl hogā
āḳhir ik din visāl hogā
gar na TuuTe ye shīsha-e-dil
terā husn kamāl hogā
tum to taḌpā ke jā rahe ho
dil ye kaise bahāl hogā
chhūne vaalā tirī jabīñ ko
merā dast-e-ḳhayāl hogā
tere lab pe rahe ḳhamoshī
mere lab pe savāl hogā
us kī nibhtī bhī hai kisī se
'josh' kyā terā haal hogā
jina kab tak muhaal hoga
aaKHir ek din visal hoga
gar na TuTe ye shisha-e-dil
tera husn kamal hoga
tum to taDpa ke ja rahe ho
dil ye kaise bahaal hoga
chhune wala teri jabin ko
mera dast-e-KHayal hoga
tere lab pe rahe KHamoshi
mere lab pe sawal hoga
us ki nibhti bhi hai kisi se
'josh' kya tera haal hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.