jina kya hai habab ho jaana
jiinā kyā hai habāb ho jaanā
ik haqīqat kā ḳhvāb ho jaanā
ishq hai silsila savāloñ kā
aur vafā lā-javāb ho jaanā
bārhā mahfiloñ ne dekhā hai
ḳhāmushī kā rabāb ho jaanā
ye karishma hai zar-navāzī kā
un kā tum se janāb ho jaanā
jumbish-e-fikr kī yahī had hai
bas azāb-o-savāb ho jaanā
jab vo gauhar-shanāsiyāñ na rahīñ
ai guhar phir se aab ho jaanā
tishnagī imtihān letī hai
ai nadī tū sarāb ho jaanā
uTh ga.ī is taraf nazar un kī
ai tamannā 'hijāb' ho jaanā
jina kya hai habab ho jaana
ek haqiqat ka KHwab ho jaana
ishq hai silsila sawalon ka
aur wafa la-jawab ho jaana
barha mahfilon ne dekha hai
KHamushi ka rabab ho jaana
ye karishma hai zar-nawazi ka
un ka tum se janab ho jaana
jumbish-e-fikr ki yahi had hai
bas azab-o-sawab ho jaana
jab wo gauhar-shanasiyan na rahin
ai guhar phir se aab ho jaana
tishnagi imtihan leti hai
ai nadi tu sarab ho jaana
uTh gai is taraf nazar un ki
ai tamanna 'hijab' ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.