jina kya hai pichhla qarz utar raha hun
jiinā kyā hai pichhlā qarz utaar rahā huuñ
maiñ to us kī baaqī umr guzār rahā huuñ
aa jā.egā chaak pe chalnā aur sambhalnā
abhī to gil se apnā-āp utaar rahā huuñ
koī kab dīvār banā hai mere safar meñ
ḳhud hī apne raste kī dīvār rahā huuñ
khul jā mujh par harf-e-tilism ki terī tarah se
ek zamāna maiñ bhī pur-asrār rahā huuñ
tujh ko manānā itnā gar āsān nahīñ hai
maiñ bhī dil kī pahlī baazī haar rahā huuñ
jina kya hai pichhla qarz utar raha hun
main to us ki baqi umr guzar raha hun
aa jaega chaak pe chalna aur sambhalna
abhi to gil se apna-ap utar raha hun
koi kab diwar bana hai mere safar mein
KHud hi apne raste ki diwar raha hun
khul ja mujh par harf-e-tilism ki teri tarah se
ek zamana main bhi pur-asrar raha hun
tujh ko manana itna gar aasan nahin hai
main bhi dil ki pahli bazi haar raha hun
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.