jine ka ban gaya hai imkan zindagi mein
jiine kā ban gayā hai imkān zindagī meñ
tum aa ga.e hamārī vīrān zindagī meñ
har rāsta hai ab to āsān zindagī meñ
shāmil huā hai jab se qur.ān zindagī meñ
marne ke ba.ad is kī mohlat nahīñ milegī
kar āḳhirat kā pyāre sāmān zindagī meñ
phir mil sakī na us ko jā-e-panāh koī
jis ne bhī kho diye haiñ ausān zindagī meñ
ye kah ke apne dil ko dete haiñ ham tasallī
puure hue haiñ kis ke armān zindagī meñ
kuchh aise log bhī haiñ duniyā meñ terī yā-rab
lete nahīñ kisī kā ehsān zindagī meñ
aadat sī ban ga.ī hai ab to hanīf-'rāhī'
jhele haiñ jaane kitne tūfān zindagī meñ
jine ka ban gaya hai imkan zindagi mein
tum aa gae hamari viran zindagi mein
har rasta hai ab to aasan zindagi mein
shamil hua hai jab se quran zindagi mein
marne ke baad is ki mohlat nahin milegi
kar aaKHirat ka pyare saman zindagi mein
phir mil saki na us ko ja-e-panah koi
jis ne bhi kho diye hain ausan zindagi mein
ye kah ke apne dil ko dete hain hum tasalli
pure hue hain kis ke arman zindagi mein
kuchh aise log bhi hain duniya mein teri ya-rab
lete nahin kisi ka ehsan zindagi mein
aadat si ban gai hai ab to hanif-'rahi'
jhele hain jaane kitne tufan zindagi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.