jine ka daras sab se juda chahiye mujhe
jiine kā daras sab se judā chāhiye mujhe
ab to nisāb-e-zīst nayā chāhiye mujhe
ai kaash ḳhud sukūt bhī mujh se ho ham-kalām
maiñ ḳhāmushī-zada huuñ sadā chāhiye mujhe
ab mere paas jur.at-e-iz.hār bhī nahīñ
kaise batā.ūñ aap ko kyā chāhiye mujhe
sab khiḌkiyāñ khulī haiñ magar habs hai bahut
jaañ lab pe aa chukī hai havā chāhiye mujhe
jine ka daras sab se juda chahiye mujhe
ab to nisab-e-zist naya chahiye mujhe
ai kash KHud sukut bhi mujh se ho ham-kalam
main KHamushi-zada hun sada chahiye mujhe
ab mere pas jurat-e-izhaar bhi nahin
kaise bataun aap ko kya chahiye mujhe
sab khiDkiyan khuli hain magar habs hai bahut
jaan lab pe aa chuki hai hawa chahiye mujhe
- Book : Mazhab e Ishq (Pg. 63)
- Author : Sabir Zafar
- Publication : Rang e Adab Publications, Karachi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.