jine ki tayyari chhoD
jiine kī tayyārī chhoḌ
yaar mire hushyārī chhoḌ
sīdhe apnī baat pe aa
ye lahja darbārī chhoḌ
yā duniyā kā ḳhauf haTā
yā phir ham se yaarī chhoḌ
chehra gum ho jā.egā
ḳhud se ye ayyārī chhoḌ
dīvānoñ se haath milā
ab ye duniyā-dārī chhoḌ
lauT ke ghar bhī jaanā hai
mansab-e-taḳht-savārī chhoḌ
apne dil se pūchh zarā
chal tū baat hamārī chhoḌ
jine ki tayyari chhoD
yar mere hushyari chhoD
sidhe apni baat pe aa
ye lahja darbari chhoD
ya duniya ka KHauf haTa
ya phir hum se yari chhoD
chehra gum ho jaega
KHud se ye ayyari chhoD
diwanon se hath mila
ab ye duniya-dari chhoD
lauT ke ghar bhi jaana hai
mansab-e-taKHt-sawari chhoD
apne dil se puchh zara
chal tu baat hamari chhoD
- Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 68)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.