jine mein aasani rakh
jiine meñ āsānī rakh
ik tasvīr purānī rakh
sāmne rakh kar ā.īna
chehre par hairānī rakh
muḳhlis agar ziyāda haiñ
koī dushman-e-jānī rakh
kahnā sab kā maan magar
thoḌī sī man-mānī rakh
is ko yuuñ mat marne de
apnī aañkh kā paanī rakh
mere aage sab chīzeñ
jaanī aur pahchānī rakh
jine mein aasani rakh
ek taswir purani rakh
samne rakh kar aaina
chehre par hairani rakh
muKHlis agar ziyaada hain
koi dushman-e-jaani rakh
kahna sab ka man magar
thoDi si man-mani rakh
is ko yun mat marne de
apni aankh ka pani rakh
mere aage sab chizen
jaani aur pahchani rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.