jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain
jiit aur haar kā imkān kahāñ dekhte haiñ
gaañv ke log haiñ nuqsān kahāñ dekhte haiñ
jab se dekhā hai tire chehre ko is shahr ke log!
phuul bāġhīcha o gul-dān kahāñ dekhte haiñ
qīmtī shai thī tirā hijr uThā.e rakkhā
varna sailāb meñ sāmān kahāñ dekhte haiñ
mujh ko aflāk se hijrat kī sadā aatī hai,
aadmī 'ishq meñ zindān kahāñ dekhte haiñ
'āmir' is taḳht meñ tābūt nazar aatā hai
dekhte ham haiñ ye darbān kahāñ dekhte haiñ
jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain
ganw ke log hain nuqsan kahan dekhte hain
jab se dekha hai tere chehre ko is shahr ke log!
phul baghicha o gul-dan kahan dekhte hain
qimti shai thi tera hijr uThae rakkha
warna sailab mein saman kahan dekhte hain
mujh ko aflak se hijrat ki sada aati hai,
aadmi 'ishq mein zindan kahan dekhte hain
'amir' is taKHt mein tabut nazar aata hai
dekhte hum hain ye darban kahan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.