jit aur haar mein paDe hue hain
jiit aur haar meñ paḌe hue haiñ
log me.aar meñ paḌe hue haiñ
ab guzartā hai vaqt tezī se
ham bhī raftār meñ paḌe hue haiñ
ham muqayyad haiñ tere hoñToñ meñ
aur inkār meñ paḌe hue haiñ
un charāġhoñ ko kaam meñ laao
jo bhī be-kār meñ paḌe hue haiñ
jhaaḌ aayā huuñ apne dāman ko
daaġh bāzār meñ paḌe hue haiñ
jit aur haar mein paDe hue hain
log mear mein paDe hue hain
ab guzarta hai waqt tezi se
hum bhi raftar mein paDe hue hain
hum muqayyad hain tere honTon mein
aur inkar mein paDe hue hain
un charaghon ko kaam mein lao
jo bhi be-kar mein paDe hue hain
jhaD aaya hun apne daman ko
dagh bazar mein paDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.