jit kar be-qarari jaegi
jiit kar be-qarārī jā.egī
aur phir jiit haarī jā.egī
jang agar chhiḌ ga.ī ḳhudāoñ meñ
sirf maḳhlūq maarī jā.egī
pahle andar ko parkhā jā.egā
phir mohabbat utārī jā.egī
kab maiñ patthar banāyā jā.ūñgā
aur kab ġham-gusārī jā.egī
us ghaḌī mustafā hī ā.eñge
jab mohabbat pukārī jā.egī
jit kar be-qarari jaegi
aur phir jit haari jaegi
jang agar chhiD gai KHudaon mein
sirf maKHluq mari jaegi
pahle andar ko parkha jaega
phir mohabbat utari jaegi
kab main patthar banaya jaunga
aur kab gham-gusari jaegi
us ghaDi mustafa hi aaenge
jab mohabbat pukari jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.