jitne walo itna bata do sach-much jit tumhaari hai
jītne vaalo itnā batā do sach-much jiit tumhārī hai
yā ab ham ne pyaar kī baazī ḳhud hī jaan ke haarī hai
garm havā ne har goshe meñ gul ko chaman ke jhulsā hai
jo kyārī shādāb thī ab tak mausam us pe bhārī hai
vaqt hai sab kā sāthī lekin vaqt kisī ke saath nahīñ
kal tak merā daur rahā thā aaj tumhārī baarī hai
terī ḳhātir dil hī dil meñ bujh bujh kar rah jaate haiñ
varna har ik saañs hamārī sho.ala hai chiñgārī hai
jitne walo itna bata do sach-much jit tumhaari hai
ya ab hum ne pyar ki bazi KHud hi jaan ke haari hai
garm hawa ne har goshe mein gul ko chaman ke jhulsa hai
jo kyari shadab thi ab tak mausam us pe bhaari hai
waqt hai sab ka sathi lekin waqt kisi ke sath nahin
kal tak mera daur raha tha aaj tumhaari bari hai
teri KHatir dil hi dil mein bujh bujh kar rah jate hain
warna har ek sans hamari shoala hai chingari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.